by Bade Ali Miya Pahelwaan » Fri Nov 11, 2005 12:49 pm
Sala Wale Kum Bhai
Bhai kaise hai tum, mai tumhara nawasa ali miya "Andhra Kesari"
Hau bhai woh bhi kya dina the, aap udhar se kasrat karko aate the aur mai to barkas mei hi hamare akhade mei kasrat karke aata tha, uske baad pasha ki haleem ki dukaan po baith ke haleem po haleem kabhi khaari kabhi mithi, bhot maza aata tha.
magar bhai ek baad samajh mei ni aayi, jabse rafiq bin shimlaan (Hamare bade Mamu) ka murder hua, aap to ghar se bahar hi nahi aarey.
sab khairiyat se to hai na.
Zafar Pahelwaan wrote:Subah 4 baje uthna, necklace road po jaako jogging karna aur 5:30-6 am baje tak waapis yakutpura taalim ku aa jaana, uske baad kasrat karke, zora wora karko thandai peliye uske baad paaani waani naha liye phir sidha barkas haleem khane ku.
pasha bhai ki haleem arey woich barkas mei ghuste kich pehli haleem ki dukaan.
kya maze ki rehti thi yaaro.
aaj achanak baithe baithe haleem yaad aagayi to socha aap logo ko bhi yaad dila du.
Ab yehi baaqi reh gaya tha dekho, Sab Pailwaana hallu hallu yeh board pe jama hore dekho, kaiku re zafar hyderabad po zameena khatam hogaye jo yeh board po khabza karne aaya.
Smiles....
Anyways topic bada damdaar cheda hai zafar pahelwaan ne "Barkas ki Haleem"
CtrlAltDel wrote:is haleem available there thru out the year? where exactly in barkas is this shop?
i wanted to know da same!
whn u make a mistake, don't luk bk at it long. Tk da reason of the thing into ur mind n thn look 4wrd. Mistakes r lessons of wisdom.
da past cant be changed but da future is yet in your power.
To aisa karo mai sec'bad aato dono mil ke paradise ki biryani khayinge, phir jab tum barkas jayinge to mere ku bas ek phone kardo aur jaate jaate yakutpura se pick karlo mereku.
Bhai yeh to baat sahi hai, hyderabad ka real heart old city mei hi hai.
ek se ek chikne itema rehta, mai to kam se kam week mei ek dafa to bhi jaata tha wa pe (Jab mai hyderabad mei rehta tha). ek se badke ek khubsoorat ladki aur ek se badke ek chaalu.
khaane to bas pochi nakko.
shalibande ki lassi wow! aaj bhi muh mei paani aa jaata sonche to.
Syed Adil wrote:Bhai yeh to baat sahi hai, hyderabad ka real heart old city mei hi hai.
ek se ek chikne itema rehta, mai to kam se kam week mei ek dafa to bhi jaata tha wa pe (Jab mai hyderabad mei rehta tha). ek se badke ek khubsoorat ladki aur ek se badke ek chaalu.
khaane to bas pochi nakko.
shalibande ki lassi wow! aaj bhi muh mei paani aa jaata sonche to.
shahran ke kawaaba. ahaaaahaa kya bolu.
Choice ki biryani purani haveli mei
chaaush ka chaakna.
and last but note least farasha ki chaye.
waah
aaj to full maze hogaye mere.
As salam walikum
sahi bole aap ...aaj bhi Charminar mein wohi rounak hain ...parsoon tak eid mein ..tho ..ek se badkaar ek delicious items .... farsha ki chaye mein aab woh taste nahi raha ...
When life knocks you down you have two choices-
stay down or get up...!!!!
aapki hyderabadi sunke bahut acha lagra, bahut kilaas hai is mei, sunaate rahiyega. Ye naachiz ko bhaut salon se barkhas ki sair karne ka tamanna hai, kabhi allah ka rahem hai tho woh khwaish bhi.
Khuda haafiz, hyderabad zindabad.
God is a comedian playing to an audience too afraid to laugh. Voltaire, philosopher (1694-1778)
aapki hyderabadi sunke bahut acha lagra, bahut kilaas hai is mei, sunaate rahiyega. Ye naachiz ko bhaut salon se barkhas ki sair karne ka tamanna hai, kabhi allah ka rahem hai tho woh khwaish bhi poori hogi.
Khuda haafiz, hyderabad zindabad.
God is a comedian playing to an audience too afraid to laugh. Voltaire, philosopher (1694-1778)
aapki hyderabadi sunke bahut acha lagra, bahut kilaas hai is mei, sunaate rahiyega. Ye naachiz ko bhaut salon se barkhas ki sair karne ka tamanna hai, kabhi allah ka rahem hai tho woh khwaish bhi poori hogi.
Khuda haafiz, hyderabad zindabad.
Housla afzai ka shukriya akshay miya.
arey miya tum ku barkas kab jaana hai bolo khali tum, tumku gaadi pe bithake bhiir bolke leke jaato, barkas ki full sair karake phir haleem sut leke sida waapis.
smiles........
waise inshallah leke to jaa sakta hu, par uske liye aapko january tak wait karna padinga.